love sms, love sms in hindi, whatsapp shayri, best shayari for lover, 2 line shayari, 2 line shayari hindi, hindi shayari 2 line, sad sms

Friday, 13 December 2019

Qadam qadam pe naya marhala tha kya karta,

No comments

Qadam qadam pe naya marhala tha kya karta,
Taweel hota gaya faasla main kya karta!

Her ek shakhs ko tha zaum-e rehbari kitna,
Bhatak raha tha mera qaafila main kya karta?

Gham-e Hayaat, Gham-e Ishq aur Gham-e Janaan'
Ulajh gaya tha her ik silsila main kya karta!

Tumhare saath kise failse ki fursat thee,
Tumhari baad bhala faisla main kya karta.

Bahut sambhaal ke rakha tha Dil main raaz tera,
Wo ban ke ashk jo girne laga main kya karta.

Mujhi se maangne aayi wo le ke majboori,
Ab usse us ki jaffa ka Gilla main kya karta.

Wo aansuon ki zabaan' jaanti na tha meri,
Mujhe bayaan' ka na tha hosla main kya karta.​


No comments :

Post a Comment