whatspp status, sms and jokes for you.

love sms, love sms in hindi, whatsapp shayri, best shayari for lover, 2 line shayari, 2 line shayari hindi, hindi shayari 2 line, sad sms

Sunday, 12 January 2020

Bachpan Ka Zamana Hota Tha,

Bachpan Ka Zamana Hota Tha,



Bachpan Ka Zamana Hota Tha,
Khushio.N Ka Khazana Hota Tha.​
Chahat Chaand Ko Paane Ki,
Dil Titli Ka Deewana Hota Tha.​
Rone Ki Wajha Na Hoti Thi,
Hasne Ka Bahana Hota Tha.​
Khaber Na Thai Kuch Subho Ki,
Na Shamo Ka Thikana Hota Tha.​
Daadi Ki Kahani Hoti Thi,
Pariuon Ka Fasana Hota Tha.​
Pedho Ki Shakhe Chutey They,
Mitti Ka Khilona Hota Tha.​
Gam Ki Zuban Na Hoti Thi,
Na Zakhmo Ka Paymana Hota Tha.​
Barish Mein Kagaz Ki Kashti,
Har Mousam Suhana Hota Tha.​
Wo Khel Wo Sathi Hotey They,
Na Rishta koi Nibhana Hota Tha.


Dosti naam hai saath daine ka,

Dosti naam hai saath daine ka,
Dosti naam hai insaniat ka,
Dosti naam hai qhuloos ka,
Dosti naam hai khushiyan daine ka,
Dosti naam hai dil mai utarne ka,
Dosti naam hai doost ki burai dafan karne ka,
Dosti naam hai apnaiyat ka,
Dosti naam hai bharoose ka,
Hai woh shakash bohat anmol,
Joo sachhee dosti ke mazbut,
Bandhan mein bandha hua hai


Kyon door ho kar bhi​

Kyon door ho kar bhi​

Koi dil ke paas rehta hai.​

Dil ke paas ho kar bhi​

Kyon us ka intezaar rehta hai.​

Yeh kaisa dard hai​

Jo meetha sa lagta hai.​

Mehfil mein hoon magar​

Mujhe tanha sa lagta hai.​

Kyon ham har pal​

Unke khayaalon mein khoy rehte hain.​

Unke hi khayaalon se​

Apni duniya sajaaye rehte hain.​

Kyon lagta hai​

Ham unke bina adhoore hain.​

Mil jaaye agar woh​
Tau saare sapne pooray hain​


Müqaddar aazmanay mein Zamaañay Bèét Jatay Hain…

Müqaddar aazmanay mein Zamaañay Bèét Jatay Hain…
Müradein dil ki paanay mein Zamaañe Bèét Jaate Hain…
Nahi rakhta köi himmat agar Izhar-e-Ulfat ki
Zaban par baat laanay mein Zamañe Bèét Jaate Hain…

Mohabbat zindagi mein jo bäri mushkil se milti hai
Magar us k nibhanay mein Zamañay Bèét Jate Hain…
Agar 1 baar Aankhøn mein achañak aa basay koi
Usay dil se bhulañay mein Zamañe Bèét Jate Hain…


qatra- qatra ho ke beh rahi he zindagi

qatra- qatra ho ke beh rahi he zindagi
zindagi ke aakhri mood par he jindgi
qun kahin bhi khushyo ka nishan milta nahi
kessa ye mood he kesaa ye door he
kahaan ayi aaj saab ki kesi he ye zindgi
tapti jese he dopehri aaj sab ki zindgi
door tak qun chaun ka koi nisha milta nahi
har koi he qun pareshan aaj kesa door he
piyaar or ensaaniyat qun sab miltaa nahi
ya khudaa sab ke dilon me piyaar bharde aaj tu
qun mujhe teri ye dunia aesi ab bhati nahi
mehgai ka doar he.piyaar mehngaa hogaya
sab ke dil me piyaar bhar de hogi phir kya zindgi
karle meri duwaa tu qabool ae mere khudaa
bibbo phir khush ho kar jiye gi apni ye zindgi


Us se kaho Ek Bar bhool Kar aa jaye,

Us se kaho Ek Bar bhool Kar aa jaye,
Jo beeti hai Us per woh Suna jaye.

Hans hans ke Ghum chupane ka hunar,
Us se kaho Hum ko bhi Sikha jaye.

Us ki yaad mein Tadapta rehta Hoon har pal,
Us se kaho Mere dil se Apna naam Mita jaye.

Arsa huwa Hai Chand Ko dekhe Huye,
Us se kaho Apna chehra Dikha jaye.​


Friday, 13 December 2019

Tum Bhool Kar To Dekho Humein Har

Tum Bhool Kar To Dekho Humein Har
Khushi Tumse Rooth Jayegi,
Jab Bhi Sochoge Doston Ke Bare Mein
Yaad Humari Khud Bakhud Ayegi !!

Dur Rehkar Karib Rehneki Aadat Hai,
Yaad Bankar Ankhose Behneki Adat Hai,
Karib Na Hote Hue Bhi Karib Paoge,
Mujhe Ehsas Bankar Rehne Ki Adat Hai !!

Taraste The Jo Milne Ko Kabhi,
Aaj Wo Kyon Mere Saaye Se Katrate Hain!
Hum Bhi Wahi Dil Bhi Wahi,
Na Jane Kyon Log Badal Jate Hai !!

Kabhi Hum Pe Wo Jaan Diya Karte The,
Jo Hum Kehte The Wo Maan Liya Karte The,
Aaj Pass Se Anjaan Ban Kar Guzar Gaye,
Jo Durse Hume Pehchan Liya Karte The !!

Aaj Ujalon Me Ek Kami Si Rahne De
Ankhon Me Ek Katra Nami Si Rahne De
Reh Na Jaye Mahobbat Adhuri Meri
Intezaar Hai Intzeaar Hi Rehne De !!

Kajal Bankar Teri Ankhon Mei Samane Ki Tamanna Hai
Dawa Banke Tere Dard Mitane Ki Tamanna Hai
Yun To Hasil Hai Zamane Ki Her Cheez Mujhe
Sirf Ek Baar Tujhe Dulhan Ke Roop Mei Pane Ki Tamanna Hai !!

Pyaar Shabd Nahi Jo Kaha Jaye,
Ruh Nahi Jo Mit Jaye,Safar Nahi Jo Mukam Paye,
Pyaar Woh Khubsurat Ehsaas Hai Jiske Liye Agar Jiya Jaye
Toh Zindagi Kam Pad Jaye !!

Vo Manzil Ko Mushkil Samjte Hai,
Hum Usko Manzil Samajte Hai,
Bada Fark Hai Uske Or Hamare Nazariye Me,
Vo Hume Sapna Or Hum Usko Apna Samajte Hai !!

Zindagi Me Humne Kabhi Kuchh Chaha Hi Nahi,
Jise Chaha Use Kabhi Paya Hi Nahi,
Jise Paya Use Yun Kho Diya,
Jaise Zindgi Me Kabhi Koi Aaya Hi Nahi !!

Aye Raat Tu Mere Akelepan Par Havi Mat Ho,
Varna Tu Us Din Pachtayegi,Jab Mera Mehboob
Meri Bahon Me Hoga,Aur Tu Ik Pal Main Nikal Jayegi !!

Bemausam Barsat Aaj Mujhse Kuch Keh Gayi,
In Baaho Me Aaj Phir Uski Kami Reh Gayi,
Ek Pal Ke Liye Use Gale Lagaya Mene,
Aur Phir Uski Yaad Aansu Bankar Beh Gayi !!


Safar tanha nai krte,

Safar tanha nai krte,
Sunay asa nai krte,
Jise shafaf rakhna ho,
Use maila nai krte,
Safar jis ka muqader ho,
Use roka nai krte.................
Buhat ujre hoe ghar pr,
Buhat soch nai krte,
Chalo tum raz ho apna....tumhain afsha nahi kartey,
Sahar say pooch lo ......,
Hum to soyia nai krte...........


Yeh Daulat Bhi Le Lo,

Yeh Daulat Bhi Le Lo,
Yeh Shaurat Bhi Le Lo,
Bhale Cheen Lo Mujhse Se Meri Jawani,
Magar Mujhko Lauta Do
Bachpan Ka Sawan.....
Wo Kagaz Ki Kashti....
Wo Baarish Ka Paani...
Wo Kagaz Ki Kashti...
Wo Baarish Ka Paani...

Muhale Ki Sabse Purani Nishani,
Wo Budhea Jise Bache Kehte The Naani,
Wo Naani Ke Baaton Me Paarion Ka Dera,
Wo Chehre Ki Jhuriaon Me Sadion Ka pehra,
Bhulae Nahin Bhul Sakta Hai Koi,
Bhulae Nahin Bhool Sakta Hai Koi,
Wo Chotti Si Raaten.....
Wo Lambi Kahani
Wo Chotti Si Raaten.....
Wo Lambi Kahani

Kaadi Dhoop Me Apne Ghar Se Nikalna,
Wo Chidia Wo Bulbul Wo Titli Pakadna ,
Wo Guddia Ki Shaadi Pe Ladna Ghagadna,
Wo Jhuloon Se Girna Wo Gir Ke Sambhalna,
Wo Peetal Ke Chaalon Ke Pyare Se Tohfe,
Wo Peetal Ke Chaalon Ke Pyare Se Tohfe,
Wo Tuuti Hue Chudion Ki Nishani
Wo Kagaz Ki Kashti Wo Baarish Ka Paani,
Wo Kagaz Ki Kashti Wo Baarish Ka Paani ,
Wo Kagaz Ki Kashti Wo Baarish Ka Paani ........

Kabhi Ret Ke Oonche TilooN Pe Jana
Gharoonde Bana’na
Bana’ke Mitana
Wo Masoom Chahat Ki Tasvir Apni
Wo KhwabooN KhilaooN Ki Jageer Apni
Na Duniya Ka Gam Tha Na RishtoN Ke Bandhan
Na Duniya Ka Gam Tha Na RishtoN Ke Bandhan
Baree Khoobsurat Thi Wo Zindagani..............
Baree Khoobsurat Thi Wo Zindagani..............
Baree Khoobsurat Thi Wo Zindagani..............
Baree Khoobsurat Thi Wo Zindagani.........


Yahan chahton ka sila nahi,

Yahan chahton ka sila nahi,
yahan dosti ka maza nahi,
yahan janay kesi hawa chali,
Rahi dostoon main wafa nahi,
yahan jal gaya mera aashiana,
Abhi badlon ko pata nahi,
Teray dar pe dastak de sakon,
ye haq to tum ne dia nahi,
Main raahi hon raah-e-umeed ka,
Mujhay manzilon ka pata nahi,
Be bas hon jahan main isqader,
jaisay mera koi KHUDA nahi,
MERI SAADGI MERA JURM HAi,
KOI AUR MERI KHATA NAHI.


Sapne...

Sapne...

sath chutne se rishte nahi tuta karte,
waqt ki dundh se lamhe nai tutta karte,
log kahte he mera sapna tut gaya,
tuti to neend hai sapne nai tuta karte...


Zindagi mein the akele​

Zindagi mein the akele​
mila koi pyara sa​
bade jo silsile ​
lagne laga hamara sa.​
Chaha tha hume ​
kisi ne pehli baar​
laga hamare naseeb mein bhi ​
likha hai kisi ka pyaar.​
Ab aalam tha yeh ki ​
unke khayalon mein khoye rahte the,​
jaagte the hum jab​
baki saare soye rahte the.​
Is jahan se hume​
ab naa koi aas thi,​
jaise duniya ki har khushi ab hamare paas thi.​
Ab naa koi fikar thi​
naa koi asar tha,​
par phir hua wahi ​
jiska hume darr tha.​
thi unki koi puraani majboori,​
ek pal mein aa gyi meelon ki doorie.​
Isme kisi ki galti​
koi dokha nhi tha,​
hoga kuch aisa shayad​
unhone bhi kabhi socha nhi tha.​
Mana unke dil mein hamare liye ​
koi jagah nhi hai,​
par hum unhe yaad naa kare iski bhi​
humare paas koi wajah nhi hai.​
woh kahti hai ​
mat badao apni pareshaniya​
unhe kya batayein chahat hai yeh ​
koi sajah nhi hai.​
Yeh jaante hai ki hume ​
ab aise hi jeena hoga,​
gam ke ho ya khushi ke​
in aansuon ko hume hi peena hoga.​
Intezaar karte hai us pal ka​
jis pal hume unke dil mein thodi jagah mil jaye,​
kismat mein ho toh​
humare hisse ka pyaar bhi hume mil jaaye.​
………….